09 Zakir khan Shayari Which shows the sakht launda is not so sakht

9 Zakir Khan Shayari Which Shows The Sakht Launda Is Not So Sakht

Zakir Khan Shayari

Zakir Khan is an Indian stand-up comedian, writer, poet, presenter, and actor. In 2012, he rose to popularity by winning Comedy Central‘s India’s Best Stand Up Comedian competition. He has also been a part of a news comedy show, On Air with AIB.[1][2] He has also released two-hour length standup specials: Haq Se Single (2017) and Kaksha Gyarvi (2018) on Amazon Prime Video.

So here I present you 15 Zakir Khan Shayari Which Shows The Sakht Launda Is Not So Sakht

1

Hum dono mein bas itna sa farq hai.
Tumhare sab “lekin” mere naam se suru hote hain.
Aur mera har “kash” tum par akar rukta hai.

Zakir Khan Shayari

3

Har Roz Ki Tarah…

Subeh uthna,
khud ko tanha paana,
Tumhe yaad karna aur ruth jana tumse.

Phir mare hue ehsaason ki laash ko,
Zamane me le jaane lyak tayyar karna,
Aur bade sheher ki bheed me kho jaana.

Hasna logo ke sath,
Unhe dhyan se Sunna,
Khud ko zinda sabit karne ko,
beech beech mekuch keh bhi dena.

Phir din khatam, bheed gayab,
Main tanha aur tumse ab bhi naraz,
Phir humara bistar me,
meri ek aur raat, tumhare bin.

Agli subeh ohir se wahi, har roz ki tarah.

Subeh utna,
Khud ko tanha paana,
Tumhe yaad karna phir ruth jana tumse.

Zakir Khan Shayari

4

Mere ghar se daftar ke raaste mein,
tumhare naam ki ek dukaan padhti hai.
Vidambana dekho,
wahan Dawaiyan mila karti hain.

5

Jab kabhi yaad aaya kare tumko,
toh meri likhi kuch kavitaiyen padh lena.
bas ek wahi toh jagah hai jaha jhoot nahi
bole haimaine kabhi.

Tumko toh maloom hi hai…

Zakir Khan Shayari

6

Bahut Hua Ruhani Ishq, Ab Ke Milna Hai tumse…

Ghazlein nahi likhni ab,
chhuna hai tumko.
Woh hazaar bar ke padhe hue khat,
ek aur baar nahi padhna hai mujhe.
Mujhe apni ungliyon mein tumhari hatheliyan chahiye,
chum lena hai mujhe maatha tumhara.
seene se laga lena hai,
bahon mein bhar lena hai tumko.

Aur phone toh bilkul nahi karna hai,
Par tumhare kaano par se baal hatane hai
aur ek chhoti si baali pehna deni hai.
bichiya, payal, bindi sab kuch,
apne hatho se pehnana hai.
khusboo mehsoos nahi karni hai tumhari.
Bas palkon ko band hote aur khulte dekhna hai

Kabhi kuch kaam batana hai,
phir tumhare uth kar jaane par
kalai se pakad kar dobara sath betha lena hai.

Bahut Hua Ruhani Ishq, Ab Ke Milna Hai tumse…

Zakir Khan Shayari

7

Jigar ka nichod kar lahu, kahaniyon mein rang bhara hai siyaah.
Aur log pooch liya karte hai ki “yeh sab sach mein hua hai kya?”

All Top Amazing 35 Dialogue From Tvf Aspirants

Add a heading

Har Baat likhi Nahi Ja sakti…
Jaise tumhara mujhe iss qadar pyar se dekhna.
Likha nahi ja sakta
sath chalte hue, hamara hathon ka takrana Aur phir bina ek dusre ki taraf dekhe, iss baat par muskura dena
Likha nahi ja sakta
Tumhari ungliyon ka, mere chehre ko chhune ka ehsaas. Tumhari saadon ka mere hothon par theher jaana…
Likha thodi ja sakta hai.
Jaise tumhare chale jaane ke baad bhi, mere jism me tumhari khusboo ka reh jaana.
Sirf mehsoos kiya ja sakta hai. Likha thodi ja sakta hai.

Zakir Khan Shayari

zakir khan shayari the indian feed 8

Ye sab kuch jo bhool gayi thi tim,
Ya shayad jaankar chhoda tha tumne.
Apni jaan se bhi jyadaa,
Sambhal rakha hai maine sab,
jab aaogi toh le jaana…

Zakir Khan Shayari

Zakir Khan Shayari

use main kya, mera khumar bhi
mile toh berahmi se tod deti hai.
woh khwab me aati hai mere,
phir aa kar mujhe chhod deti hai.

Thank You So Much For reading Hope You Enjoyed… Keep Reading And Keep Sharing.

Share:

Share on facebook
Share on twitter
Share on whatsapp
Share on telegram

Leave a Comment

Social Media

Most Popular

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.

Categories

Related Posts

shayari on dosti
50+ Best And Beautiful I love you Shayari
Best Shayari for lovers 50+ best ones